• waytochurch.com logo
Song # 25015

sthuthi prashansaa hamaare yeeshu ki स्तुति प्रशंसा हमारे यीशु की


Show Original HINDI Lyrics

Translated from HINDI to TAMIL


sthuthi prashansaa hamaare yeeshu ki
aadar aur mahimaa hamaare yeeshu ki (2)
aao milkar gaaye hum hallelujah (2) ||sthuthi||

raajaaonkaa raajaa yeeshu raajaa hai
prabhuonkaa prabhu yeeshu prabhu hai (2)
saare jagath me woh kaam karthaa hai
aanand aur jeevan woh sabko dethaa hai (2) ||aao milkar||

bheemar usko chukar changa hotha hai
paapi uske naam se udhaar pata hai (2)
saare jagath se woh pyaar karthaa hai
aanand aur jeevan woh sabko dethaa hai (2) ||aao milkar||

baadalon mein yeeshu aanewaalaa hai
vishwaas yogya ko lejaane waalaa hai (2)
uske saath rehnaa ye kithnaa aanand hai
uski sthuthi karna kithnaa saubhaagya hai (2) ||aao milkar||

Posted on
  • Song
  • Name :
  • E-mail :
  • Song No

© 2023 Waytochurch.com